Wednesday, 26 January 2011

desh raag


ek aur gantantra divas...
ek baar fir yaad aaya desh raag...
yaad aaye hamare haq...
yaad aayi ki hum aazaad hain...
kehne ko hai aazaad hum...
par kya hain aazad hum...
hain humein haq...
hain humein haq apne hi desh mein tiranga pehrane ka....
hai humein apne hi desh mein aazaadi se ghumne ka...
hai humein haq kala dhan ikhata karne walon key khilaf aawaz uthane ka....
nahi hai haq...
gar aawaaz uthaoge ya to jal jaoge...
ya fir jail mein daal diye jaaoge...
ya fir kisi case main salon chakar kaatoge....
bhrast jitna bhrast hai usko pakadne wala us ka bhi boss hai... 
apne haq par sazza aur jo rail roke use milta hai meva...
2 logon ko bachane kaat diye 800 ped...
aur hua kya kuchh nahi...
vote ka khel hain yahaan...
haq hai bas yahaan kagaz par...
ye hai mera desh raag...

2 comments:

shvetilak said...

ha dost yahi hai mere desh ka rag...
at least
har kisi ke paas kuch na kuch
hai kahne ko aaj.
un do ki jaan bhi thi pyari...
jis per sik rahi hai itne logo ki
rotiya swarth ki.

Unknown said...

‌‌‌आपका राग अच्छा है। सुर भी अच्छे हैं। पढ़कर अच्छा लगा।