Saturday 31 January 2009

आज रात

आज रात वो सपने में आई  
वो थोड़ा गुस्सा हुई , 
थोड़ा नाराज भी हुई , 
मैं डर गया  
पर ना जाने वो मुस्कुरा दी,  
मैं भी मुस्कुरा दिया  
फ़िर न जाने क्या हुआ  
मैं अपने आप में खो गया I

Wednesday 21 January 2009

hum hindustani


26 janvary ko aaj se 59 saal pehle lal kile ki prachir se jhanda ferhaya gaya tha.

Kuch samjh aaya ,sayad nahi.or jisko aaya kya gussa nahi aaya. Jab maine ye suna tha to mujhe bahut gussa aaya tha. 26 janvary ko hum lal kile se jhanda nahi ferhate,balki us din hamare rastrpati india gate vijay path se parade ko salami dete hain.

Aaj humein 60 saal se jayda ho gayein hain aazadi ko.or hum sayad jante hi nahi ki hum kya hain,kaun hain hum ,hum sayad hindu hain,muslim hain,sikh hain,baniyen hain,Brahman hain,rajput hain, par sayad Hindustani nahi hain.hindustani nahi hain hum,kya jante hain hum Hindustan key bare mein.vaise koi jaroorat nahi hai ki hum jane ki Hindustan mein kya hai kya ho raha hai.

Aaj key din jab ye sab ho raha tha ,tab America mein barrack obama sapath le rahe they pura America yahan tak ki puri duniya us taraf nazar lagaye baitha tha.or hum Hindustani har taraf dekhein to obama obama .sayad itna hum apne bare mein nahi akhbaron mein chapte honge jitna obama key bare mein.main ye nahi keh raha ki obama key bare mein janan,likhna galat hai,main to bas ye keh raha hun ki agar hum bahar ki duniya key bare mein itna kuch jante hain to hum apne desh key bare kyun kuch nahi jante.kyun hum us cheez ko bhul jate  hain ki jo humne bachpan se dekha hai ,padha hai usi cheez ko hum nahi jante.bahut si aisi cheezen hain Hindustan key bare mein jo main nahi janta aap nahi jante ,kyunki sab yaad karna aasan nahi hai,bas ek baat ye hai ki agar aap ko ye bataya ja raha hai ki galti hai aur aap maan nahi rahe ho to fir kisi ka kiya ja sakta hai.

Kaafi kuch hai bolne ko likhne ko lekin sayad kintu parantu is zindagi mein har jagah bas chukka hai ,hum apne desh jismein hum rehte hain jisne humein janam diya hai hum usi ko nahi jante hain.kisi ne kaha bhi hai ki jo kaum  apne ithihas ko bhul jati hai vo kabhi khush nahi rehti hai.hum bhi apne ithihaas ko bhul rahein agar kahun to apne aaj ko bhul rahein hain.purani baton ko jarur bhulna chayie par har purani baat mein kuch na kuch chipa hota hai jo humein yaad rakhna chaiye.

Saturday 17 January 2009

क्यूँ

क्यूँ हमें मौत के पैगाम दिए जाते हैं I
ये सज़ा कम है ,की जिए जाते हैं II 
नशा दोनों में हैं साकी ,मुझे गम दे या शराब I 
मैं भी पी जाती हूँ ,आंसू भी पिए जाते हैं II
एक तू है ,के हमारी नही तुमको परवाह I
एक हम हैं ,के तेरा नाम लिए जातें हैं II
ज़िन्दगी अपनी कशमकश में गुजरती है I 
जी नही चाहता जीने को ,मगर जिए जातें हैं I